bala ki pyas us ki aankh mein hai
hijaz ki sarzamin pe is sal is qadar barishen hui hain ki KHushk talab
KHun-e-nahaq se bhar gae hain
lahu ki pyas us ki aankh mein hai
nafas mein barud jis ki qatil sada ka shoala
qadam qadam tahniyat ke raste rawan hua to wo naKHl jis ki jaDen zaminon ke
dard mein thin
jhuka kuchh aise ki jaise haal-e-rukua mein ho
udas tair jo shaKH par the
jo gumbadon ki panah mein the
jo jaliyon ke tawaf mein the
Dare hue aasman-e-hijrat ki Tahniyon se
nasheb mein us zamin-e-maqtal ko dekhte hain
jahan wo naKHl is tarah gira hai ki jaise haal-e-sujud mein ho
ek aur talab taza barish se bhar gaya hai
Nazm
Maqtal ki bazdid
Akhtar Husain Jafri