mere sine pe sar rakh ke roti rahi
meri palkon se palken bhigoti rahi
main bhi rota raha
mere sine pe sar rakh ke soti rahi
main bhi sota raha
meri aankhon mein kuchh DhunDhti si rahi
main bhi dekha kiya
KHamushi ke hijabon mein halchal rahi
main khaDa pur-sukun but taDapta raha
waqt-o-haalat phir darmiyan aa gae
dur hote gae
phir KHuda hafiz
phir juda ho gae
phir tasawwur ki duniya
masafat ki aDchan
wahi waqt-o-haalat ki bandishen
do dhaDakte dilon aarzuon ko
duniya ne maqtal mein apne
kiya hai tah-e-tegh
Nazm
Maqtal
Akhlaq Ahmad Ahan