namak ke sahra mein apni palkon se
TukDe TukDe ye KHwab chun lun
to tujh ko dekhun
shikasta-hathon se hasraton ke azab chun lun
to tujh ko dekhun
jo tujh ko dekhun to jaan paun
ki is saf-e-dostan mein tera maqam kya hai
naqib-e-jaan tu kahan khaDa hai
wo saf ki jis ne mohabbaton ke gulab pahne
azim chahat ke surKH lamhon ki hiddaton se badan sajae
faqat tera jism hi nahin jalwa-zan meri jaan
balki sara jahan khaDa hai
Nazm
Maqam-e-jaan
Khan Mohammad Khaleel