kaise khinchun teri taswir tu gum hai ab tak
tujh ko ai jaan-e-jahan main ne to dekha bhi nahin
jab kabhi abr shab-e-mah mein uDa jata hai
aabshaaron se sada aati hai chhan-chhan ke kahin
ya kabhi sham ki tariki mein tanhai mein
jab kabhi jalwa jhalakta hai teri yaadon ka
main sajata hun KHayalon mein hasin KHwab koi
samne aati hai do pal ke liye tu ai dost
aur ai parda-nashin tera jo chilman hai hasin
main baDhata hun qadam us ko haTane ke liye
na-gahan dur se aawaz koi aati hai
kanp jata hai, dhaDakta hai mera shisha-e-dil
aur phir dhundli fazaon mein tu kho jati hai
dekhta hun jo main muD kar ki pas-e-pusht hai kaun
yas ke bahr-e-siyah-posh pe raqsan raqsan
zahr-alud tabassum ki kaTaren le kar
koi lahraata hua saya nazar aata hai
Nazm
Manzil ke nam
Paigham Aafaqi