اردو हिंदी
Manzar | Shaahi Shayari
manzar

Nazm

Manzar

Faiz Ahmad Faiz

;

aasman aaj ek bahr-e-pur-shor hai
jis mein har-su rawan baadalon ke jahaz

un ke arshe pe kirnon ke mastul hain
baadbanon ki pahne hue farghalen

nil mein gumbadon ke jazire kai
ek bazi mein masruf hai har koi

wo ababil koi nahati hui
koi chil ghote mein jati hui

koi taqat nahin is mein zor-azma
koi beDa nahin hai kisi mulk ka

is ki tah mein koi aabdozen nahin
koi rocket nahin koi topen nahin

yun to sare anasir hain yan zor mein
amn kitna hai is bahr-e-pur-shor mein