abhi wo uThegi
sone walon pe ek uchaTti nigah Dalegi
bikhre baalon ko kas ke juDe mein bandh legi
libas ki silwaTon ko jhaTkegi
jaane-pahchane aasanon se badan ko bedar kar ke
ghar ke daraaz-qad aaine mein
apna sarapa dekhegi
muskuraegi
balcony se subh dekhegi
sar dupaTTe se Dhak ke
phir wo azan sunegi
nahaegi pak saf ho ke
namaz ki kaifiyat mein Dubegi
der tak apne rab ki hamd-o-sana karegi
kitchen mein jaegi
mez par nashta lagaegi
thoDa thoDa sa sab ke hisse ka pyar banTegi
sab ko ruKHsat karegi
rishton ke phul de kar
meri hatheli pe jate jate
alaw rakh degi ghar ki jalti zaruraton ke
kasili kaDwi rafaqaton ke
Nazm
Mankuha
Zubair Rizvi