اردو हिंदी
Manafi shuur ka ek waraq | Shaahi Shayari
manafi shuur ka ek waraq

Nazm

Manafi shuur ka ek waraq

Zahid Masood

;

kya is nizam ko jagir-dar badlega?
jo

mere wote se muntaKHab hota hai
aur

mere KHwabon par tex lagata hai
kya

is nizam ko sarmaya-dar badlega?
jo

mujh se bara ghanTe ki begar leta hai
magar

aaTh ghanTe ki ujrat dene par bhi tayyar nahin!
kya danish-war is nizam ko badal sakta hai?

magar wo to
ek plot ya ghair-mulki daure ke ewaz

hukmaranon ke liye lughat mein se sataishi alfaz
jama karta rahta hai!

tajir is nizam ko kaise badlega?
wo to bajaT ki tamam muraat sameT kar

sari mahngai
mere khate mein darj kar deta hai

siyasat-dan is nizam ka muhafiz kyun na ho!
ki us ki barkat se

wo sarkari school aur dispensary mein apni bhains bandh sakta hai
aur

saya dene wale ghair-sarkari daraKHt ke niche
class lene wale ziddi teacher ko

apni pajero se bandh kar ghasiTe jaane ki dhamki deta hai
main ne

sahafi se is nizam ko badalne ki darKHwast ki
magar wo

thana muharrir ke pas baiTh kar chae pine aur KHabren likhne mein magan tha
ye sab jaante hue

main agle panch sal ke liye
apna chehra apne halqe ke paTwari ko de dunga

jo use
aks-e-shajra mein lapeT kar rakh lega

aur
wote ki parchi par mera anguTha KHud hi laga lega