manazir KHub-surat hain
chalo chhu kar inhen dekhen
inhen mahsus karne ke liye
aankhon ko rakh den narm sabze par
labon ko surKH phulon par
hawa mein KHushbuon ka lams
jo gardan ko chhuta hai
use sare badan par phail jaane den
jahan par panw paDte hain
wahan talwon se shabnam ki nami aankhon talak aae
to phir sabze pe rakkhi aankh se pairon talak pahunche
inhin mein jazb ho jaun
kisi behad hasin manzar mein
gahri nind so jaun,
Nazm
Manazir KHub-surat hain
Fatima Hasan