raushni ki ek nannhi si lakir
mere kamre ke andhere ka badan
chupke chupke TaTolti hai
jis tarah habshi hasina ke Dhale
sandal ke se
aabnusi jism ke aasab mein
tez sui ki achanak ek chubhan
sarsaraate sanp ki manind dauDati hai KHun
jhanjhana uThte hain sare tar-o-pu
aur phir aahista aahista kahin
zer-e-sath-e-jaan-o-dil
ye talatum
ruk ke so jata hai
yani
azhdar-e-asuda-KHatir ki tarah
KHwab-noshin ke uData hai maze
phir bhi lekin
ek ghubar-e-intizar
mere kamre ki faza mein
misl-e-ab-e-siyah raushan hai
jaise tariki KHud apni tah tak
pahunchne ko bechain ho
is liye
raushni ki is angusht-e-be-rahm ka
KHair-maqdam kare
azhdar-e-asuda-KHatir ko jagae
dard ye hai
mere kamre ka andhera kabhi ek bar musaKHKHar nahin ho pata
naqsh-e-tarik munawwar nahin hone pata
koi gosha
kabhi raushan
kahin gosha koi
ujle kapDon ki qataron se laTakte hue injir ke KHoshe
rakh ke Dher
ghalazat ke kuen
sone chandi ke damakte hue phal
raushni
ya tez sui
ya talatum
jo bhi ho tum
tirgi ko is tarah se munqasim
tum jo kar dete ki diwaron ka rang
saf khil uThta to apne ko bhi in mein munakis main dekh leta
Nazm
Man arafa nafsahu
Shamsur Rahman Faruqi