wo ja chuka hai hamin ne use nikala hai
ye kya hua ki ek ek chiz uTh gai us ki
wo ek kone mein rahta tha par gaya jab se
har ek kone mein rahta dikhai deta hai
chamak rahi hain dar-o-baam us ki tahriren
Tahal rahi hain sadaen yahan-wahan us ki
kahin pe naqsh hai us ki nigah ka partaw
khudi hui hai kahin us ke panw ki aahaT
basa hua hai wo diwar-o-dar ke sine mein
bikhar chuka hai yahan ke har ek zarre mein
ajib tarah se aabaad hai ye virani
gala dabaata hai aaseb dam ulaTta hai
ye wahima hai
yahi aagahi to aa jae
KHuda nahin na sahi aadmi to aa jae
makan KHali hai kab se koi to aa jae
Nazm
Makan Khaali hai
Aziz Qaisi