اردو हिंदी
Majid-amjad ke liye | Shaahi Shayari
majid-amjad ke liye

Nazm

Majid-amjad ke liye

Abrar Ahmad

;

tum aate ho dur des se
dur des se aane walon par

har koi hansta hai
dil Darta hai

jab sard hawa ke aanchal mein
munh Dhanp parinde sote hain

jab sham Dhale diwaron par
kuchh sae gaD-maD hote hain

kuchh shaklen rang jamati hain
ujDi ujDi dahlizon par

KHamoshi dastak deti hai
aur band kiwaDon ki tanhai

har-su KHak uDati hai
is lamhe koi

dil mein karwaT leta hai
jab waqt ke kahil mathe par

namon ki bunden girti hain
miTTi mein KHushbu gholti hain

har phul ke dil mein
aati rut ka dhaDka jagne lagta hai

tab dhyan mein jaane kis basti se
dhime dhime qadmon ki aawaz sunai deti hai

tum aate ho
tum aaoge

dil Darta hai