main aahen bhar nahin sakta ki naghme ga nahin sakta
sakun lekin mere dil ko mayassar aa nahin sakta
koi naghme to kya ab mujh se mera saz bhi le le
jo gana chahta hun aah wo main ga nahin sakta
mata-e-soz-o-saz-e-zindagi paimana o barbat
main KHud ko in khilaunon se bhi ab bahla nahin sakta
wo baadal sar pe chhae hain ki sar se haT nahin sakte
mila hai dard wo dil ko ki dil se ja nahin sakta
hawas-kari hai jurm-e-KHud-kushi meri shariat mein
ye hadd-e-aKHiri hai main yahan tak ja nahin sakta
na tufan rok sakte hain na aandhi rok sakti hai
magar phir bhi main us qasr-e-hasin tak ja nahin sakta
wo mujh ko chahti hai aur mujh tak aa nahin sakti
main us ko pujta hun aur us ko pa nahin sakta
ye majburi si majburi ye lachaari si lachaari
ki us ke git bhi dil khol kar main ga nahin sakta
zaban par be-KHudi mein nam us ka aa hi jata hai
agar puchhe koi ye kaun hai batla nahin sakta
kahan tak qissa-e-alam-e-furqat muKHtasar ye hai
yahan wo aa nahin sakti wahan main ja nahin sakta
haden wo khinch rakkhi hain haram ke pasbanon ne
ki bin mujrim bane paigham bhi pahuncha nahin sakta
Nazm
Majburiyan
Asrar-ul-Haq Majaz