main sunta hun so zinda hun
main sunghun hun so zinda hun
aur lams bhi zinda hai mera
hairani ab tak baqi hai
hai meri basirat ab bhi jawan
aur chakhne se parhez kahan
par sochna mujh ko dubhar hai
ki soch ki rahen mushkil hain
jo sochte hain kab jite hain
ya zahr ka pyala pite hain
ya sadme se mar jate hain
main zinda rahna chahta hun
to ret mein de kar sar apna
main sunta hun main sunghta hun
ek lams-e-basirat baqi hai
main sunta hun main sunghta hun
main zinda hun main zinda hun
mujh ko nahin jine ki parwa
main zinda rahna chahta hun
Nazm
Main zinda hun
Saeed Naqvi