main ye chahta hun samundar ke sahil pe
bhigi hui ret par gal rakkhe
chand lamhe
isi tarah leTa rahun
magar waqt ki bhiD mein
mere pas apne liye
chand lamhe kahan
hawaon ke is shor mein
mere gareban ki dhajjiyan
ab kahan
samundar ki aaghosh mein itni lahren hain
ek bhi lahar aisi nahin
jo le jae mujh ko baha kar
ek aise jazire ki jaanib
jahan koi rahta na ho
jahan paniyon mein meri asthiyan
hawa mein
mere nam ka koi saya na ho
Nazm
Main ye chahta hun
Mushaf Iqbal Tausifi