jab daraKHt KHamosh the
aur baadal shor kar rahe the
main tumhein yaad kar raha tha
jab aurten aag raushan kar rahi thin
main tumhein yaad kar raha tha
jab maidan se ek bachche ka janaza guzar raha tha
main tumhein yaad kar raha tha
jab qaidiyon ki gaDi adalat ke samne khaDi thi
main tumhein yaad kar raha tha
jab log ibaadat-gahon ki taraf ja rahe the
main tumhein yaad kar raha tha
jab duniya mein har shaKHs ke pas ek na ek kaam tha
main tumhein yaad kar raha tha
Nazm
Main tumhein yaad kar raha tha
Sarvat Husain

