main tumhaare liye Thahrunga ki shayad aao
aur jab donon pahar milte hon
hum bhi aapas mein milen
jaise ek roz mila karte the
din ke hangame bujhe jate hain
sard hone lagi Dhalti hui sham
kashtiyan aa ke kinare se lagin
jhil leTi hui mahw-e-aram
peD din bhar ki thakan se bojhal
qurb sarma ki hawa sust-KHiram
dil mera bar-ha aaya hai yahan
chal ke us raste se jo un ke gole ki tarah
mere qadmon mein khula jata tha
phir muKHil hote hue patton ki sargoshi mein
ek aawaz ne rah rah ke bulaya tha mujhe
waqt ka hath Tahoke se diye jata hai
yun hi chalte raho pichhe ki taraf mat dekho
raat aa jaegi so jaoge
aur jo gunj uTha karti hai
dur viranon mein kho jaegi
Nazm
Main tumhaare liye Thahrunga
Muneebur Rahman