firaq subhon ki bujhti kirnen
visal shamon ki jalti shamen
zawal zardab KHal-o-KHad se aTe zamane
ye hanpti dhup kanpti chandni se chehre
hain mere ehsas ka asasa
bahaar ke be-kanar mausam mein khilne wale
tamam phulon se phuTte rang
wahshaton mein ghire
labon ke khule darichon se bahne wale huruf meri nishaniyan hain
Nazm
Main sochta hun
Mohsin Naqvi