kis qadar raushan hain ab arz-o-sama
nur hi nur aasman-ta-asman
mere andar Dubte chaDhte hue suraj kai
jism mera raushni hi raushni
panw mere nur ke patal mein
hath mere jagmagate aasmanon ko sambhaale
sar mera kandhon pe ek suraj
ki nadida KHalaon se pare ubhra hua
aur zamin ke roz-o-shab se chhuT kar
aagahi ki tez-rau kirnon pe main uDta hua
chaar jaanib ek suhani tirgi ki khoj mein nikla hua
Nazm
Main
Shahab Jafri