tum se sirf ek bar janmi gai hun
magar tum to aaj tak
mujh se janm le rahe ho
phir main mahz ek saya ban kar kyun rah gai
wajud kyun nahin bani
mera paDaw hamesha
tumhaare anguThe ke niche kyun rakha gaya hai
main tumhaare nam ki sil
apne badan se haTa kar
khuli hawa mein munh bhar kar sans lena chahti hun
bap bhai shauhar aur beTe ke ghar ke alawa
mera apna watan bhi to hona chahiye
qaidi aankhon mein iltija ke phul liye
ijazaton ke rah takte takte pankhuDiyan sukh kar
meri ruh mein kanTon ki tarah chhine lagi hain
KHudara meri aankhon ko zamin se itna kas kar na bandho
ki main aasman ke rang dekha chahti hun
aur tumhaari aankhon mein
sulagti hui andhi ana ki chingariyon ko
apni rupahli mohabbaton ki phuwar se sard karna chahti hun
pairon se uTh kar
mere dil mein tumhaare sath chalne ki KHwahish hai
aur tum mujhe kai rishton ki tanabon mein jakaD kar bhi
meri uDan se KHauf-zada ho
ye jaan kar bhi
ki agar parindon ke par kaT diye jaen
to phir un ke liye pinjron ki zarurat baqi nahin rahti
minnaton ke dard karte karte
meri zabanon ka gosht galne laga hai
chalo hukm na sahi kam-az-kam
mujhe apni baat karne ki to aazadi ho
tumhaari kohna riwayat ki beDiyan
pinDliyon ka gosht kaT kar
ab meri haDDiyan chabana chahti hain
main munh ke bal giri ya mazur hui
to ehtijajan banjh ho jaungi
aur agar mein banjh hui to apne janm ke liye
aainda sadi ke kis ki kho mein utroge
Nazm
Main raat hawwa
Saleem Figar