main pal do pal ka shair hun pal do pal meri kahani hai
pal do pal meri hasti hai pal do pal meri jawani hai
mujh se pahle kitne shair aae aur aa kar chale gae
kuchh aahen bhar kar lauT gae kuchh naghme ga kar chale gae
wo bhi ek pal ka qissa the main bhi ek pal ka qissa hun
kal tum se juda ho jaunga go aaj tumhaara hissa hun
pal do pal mein kuchh kah paya itni hi saadat kafi hai
pal do pal tum ne mujh ko suna itni hi inayat kafi hai
kal aur aaenge naghmon ki khilti kaliyan chunne wale
mujh se behtar kahne wale tum se behtar sunne wale
har nasl ek fasl hai dharti ki aaj ugti hai kal kaTti hai
jiwan wo mahngi mudra hai jo qatra qatra baTti hai
sagar se ubhri lahar hun main sagar mein phir kho jaunga
miTTi ki ruh ka sapna hun miTTi mein phir so jaunga
kal koi mujh ko yaad kare kyun koi mujh ko yaad kare
masruf zamana mere liye kyun waqt apna barbaad kare
Nazm
Main pal do pal ka shair hun
Sahir Ludhianvi