abhi jaise ye kal ki baat lagti hai
ki tum chhoTe se guDDe the
tumhein chalna nahin aata tha
ghuTnon ghuTnon chalte the
kabhi kursi kabhi sofa pakaD kar jab khaDe hote
to is chalne ki koshish mein
tumhaare nanhe-munne panw aksar Dagmaga jate
qadam bhi laDkhaDa jate
to main ungli pakaD kar phir tumhein chalna sikhati
phir tumhein abbu ne ek walker la diya
ab tum uDe phirte kisi ke hath kab aate
phir ek din subh jab so kar uThi to main ne dekha
ki tum bina walker bina koi sahaare apne panw par khaDe ho
aur chal rahe ho
phir tum yunhi chalte rahe chalte rahe chalte rahe
din mahine aur mahine salon mein Dhalte rahe
tum yunhi chalte rahe
aur chalte chalte ek din
aaKHir itni dur ja nikle
meri aankhon se ojhal ho gae
main ne tumhein chalna sikhaya tha!

Nazm
Maine tumhein chalna sikhaya tha
Rehana Roohi