main ne raat se pucha
mere ghar se chori ho jaane wala KHwab
tumhaare pas to nahin
mere ham-sae ke bachchon ka KHwab
gharon mein baiThi jawan laDkiyon ke KHwab
shahr se hijrat kar jaane wale sare KHwab
tumhaare pas to nahin?
raat meri aankhon mein jhank kar boli
itne sare KHwabon ka chori ho jaana
aur shor na machna
itne sare KHwabon ka qatl ho jaana
aur suragh na chalna
itni sari lashon ka dariya mein baha diya jaana
aur pani ka rang na badalna
kaise mumkin hai
tumhaari marzi ke baghair
tumhaari shirkat ke baghair
phir wo god mein uThaya hua chand
meri taraf baDha kar boli:
is ke sar par hath rakho
aur qasam khao
apni be-gunahi ki
apni masumiyat ki
aur main us ka munh takta rah gaya
Nazm
Maine raat se pucha
Javed Shaheen