raat us ko KHwab mein dekh kar
main ne kuchh nahin kaha
chaar sal ki thakan jawan hui
tishnagi baDh ke be-karan hui
han magar jab aansuon ki narm garm tazgi
aas-pas dilkashi bikhar gai
aur ek saya sa sirhane aa ke tham gaya
main ne ye kaha ki ai mere KHuda
tu baDa rahim hai
us ka dil do nim hai
us ke rang us ke husn ko nikhaar de
us ke dil ka bojh utar de
tu use sukun de mujhe junun de
us ke dukh us ke dard chhin le
us ke rog mujh ko de
main gunahgar hun
raat us ko KHwab mein dekh kar
chaar sal jaise phir usi tarah guzar gae
chaar sal kis tarah guzar gae
dil ye sochta raha
main ne kuchh nahin kaha
Nazm
Maine kuchh nahin kaha
Mahboob Khizan