main ne chand aur sitaron ki tamanna ki thi
mujh ko raaton ki siyahi ke siwa kuchh na mila
main wo naghma hun jise pyar ki mahfil na mili
wo musafir hun jise koi bhi manzil na mili
zaKHm pae hain bahaaron ki tamanna ki thi
main ne chand aur sitaron ki tamanna ki thi
kisi gesu kisi aanchal ka sahaara bhi nahin
raste mein koi dhundla sa sitara bhi nahin
meri nazron ne nazaron ki tamanna ki thi
main ne chand aur sitaron ki tamanna ki thi
dil mein nakaam umidon ke basere pae
raushni lene ko nikla to andhere pae
rang aur nur ke dhaaron ki tamanna ki thi
main ne chand aur sitaron ki tamanna ki thi
meri rahon se juda ho gain rahen un ki
aaj badli nazar aati hain nigahen un ki
jin se is dil ne sahaaron ki tamanna ki thi
main ne chand aur sitaron ki tamanna ki thi
pyar manga to sisakte hue arman mile
chain chaha to umaDte hue tufan mile
Dubte dil ne kinaron ki tamanna ki thi
main ne chand aur sitaron ki tamanna ki thi
Nazm
Maine chand aur sitaron ki tamanna ki thi
Sahir Ludhianvi