اردو हिंदी
Main nazm likhta hun! | Shaahi Shayari
main nazm likhta hun!

Nazm

Main nazm likhta hun!

Qasim Yaqub

;

main jab taKHliq ka jugnu pakaDta hun
main jab andar andhere mein

gundhi miTTi ka pani
raushni ki bund ki KHwahish jagata hai

kimiyai KHwab kitne ehtamam-angez hote hain
bhaTakti KHushbuon ko jama karte hain

pahaDon par paDi binaon ki wusaton ko
joD kar tartib se rakhte hain

aur aankhen banate hain
phir un mein aansuon ki fasl ugate hain

mujhe barish batati hai
ki mathe se pasina bah raha hai

thuk munh bhar ke nikalne se
apahij harkaton ka zang utarta hai

aziyyat sahne ki lazzat mere andar utarti hai
main bistar par sikuDta hun

nai ek nazm likhta hun