haDtal karne se na Talo main nashe mein hun
ai ghair-mulkiyon ki kalo main nashe mein hun
mera julus le ke chalo main nashe mein hun
phir KHak sab ke munh pe malo main nashe mein hun
yaro mujhe maf rakho main nashe mein hun
ab do to jam KHali hi do main nashe mein hun
ghoDe pe main sawar hun sunte ho paidalo
mujh par sawar nashsha hai main us ke hun jilau
jalson mein jab bhi jao mujhe sath le chalo
aur KHali-KHoli naron se phir mung bhi dalo
ek ek fart-e-daur mein yunhi mujhe bhi do
jam-e-sharab pur na karo main nashe mein hun
is qaum ki falah hai jam-o-subu ke bech
tum intiKHab ja ke laDo haw-hu ke bich
dushnam aur balwon ke aur du-ba-du ke bich
jaise ki koi baiTha ho bazm-e-adu ke bich
masti se darhami hai meri guftugu ke bich
jo chaho tum bhi mujh ko kaho main nashe mein hun
main rahnuma-e-qaum hun, ye ho chuka hai tai
khata raha hun galiyan mazi mein pai-ba-pai
guzri hai umar jail mein lekin ye ta-ba-kai
mera julus le ke meri qaum jab chale
ya hathon-hath lo mujhe manind-e-jam-e-mai
ya thoDi dur sath chalo main nashe mein hun
mujh par bhi waqt aa ke paDe hain yahan kaDe
ye wo zamin hai jis pe gire hain baDe baDe
tum kyun ukhaDte ho wo murde jo hain gaDe
dekhe nahin hain tum ne jo chikne the wo ghaDe
mazur hun jo panw mera be-tarah paDe
tum sargiran to mujh se na ho main nashe mein hun
ye baat aql mein bhi samati nahin hai kuchh
shohrat to muft wote dilati nahin hai kuchh
iman-dari kaam banati nahin hai kuchh
laTh ki zaban bhi mujhe aati nahin hai kuchh
bhagi tumhaari rae to jati nahin hai kuchh
chalta hun main bhi, Tuk to raho, main nashe mein hun
aaya hai waqt aisa jo pahle na tha kabhi
dushwar rasta bhi hai manzil hai dur abhi
public se jhuTe wade bhi kar lete hain sabhi
main nai bhi iKHtiyar ki ye policy jabhi
nazuk-mizaj aap qayamat hain 'mir'-ji
jun shisha mere munh na lago main nashe mein hun
badmast ho gae ho election mein 'jafari'
sar mein nashe ke sath hai sauda-e-rahbari
tum kas jagah ke panch ho kya hai briadri
kyun DhunDte ho mulk mein jo wote ho free
tum hosh mein nahin ho to hai baat dusri
ye kah ke ghar mein baiTh raho main nashe mein hun

Nazm
Main nashe mein hun
Syed Mohammad Jafri