mere liye ye takalluf ye dukh ye hasrat kyun
meri nigah-e-talab aaKHiri nigah na thi
hayat zar-e-jahan ki tawil rahon mein
hazar dida-e-hairan fusun bikherenge
hazar chashm-e-tamanna banegi dast-e-sawal
nikal ke KHalwat-e-gham se nazar uThao to
wahi shafaq hai wahi zau hai main nahin to kya
mere baghair bhi tum kaamyab-e-ishrat thin
mere baghair bhi aabaad the nashat-kade
mere baghair bhi tum ne diye jalae hain
mere baghair bhi dekha hai zulmaton ka nuzul
mere na hone se ummid ka ziyan kyun ho
baDhi chalo mai-e-ishrat ke jam chhalkati
tumhaari sej tumhaare badan ke phulon par
isi bahaar ka partaw hai main nahin to kya
mere liye ye udasi ye sog kyun aaKHir
malih chehre pe gard-e-fasurdagi kaisi
bahaar-e-ghaza se aariz ko tazgi baKHsho
alil aankhon mein kajal lagao rang bharo
siyah joDe mein kaliyon ki kahkashan gundho
hazar hanpte sine hazar kanpte lab
tumhaari chashm tawajjoh ke muntazir hain abhi
jilau mein naghma-o-rang-o-bahaar-o-nur liye
hayat garm-e-tag-o-dau hai main nahin to kya
Nazm
Main nahin to kya
Sahir Ludhianvi