main na kahta tha tum se rah mein chhoD jaogi
ishq ek riyazat hai kaise Thair paogi
aag ka ye dariya hai kyun kar tair paogi
main na kahta tha tum se
ishq ek ibaadat hai payambari amanat hai
KHaron se ye pur rasta
kab talak chalogi tum
sath chhoD jaogi
main na kahta tha tum se
KHauf khata rahta hun
makr se dagha se main
aise dost se bhi jo
kashtiyan Dubote hain
beach mein samundar ke
main na kahta tha tum se
pahle soch lo sau bar
baadban ke uThne se
tufan ke beach jaane se
chhoD to na jaogi darmiyan samundar ke
aur tum ne har ek bar ye yaqin dilaya tha
sath jine marne ki lakh qasmen khai thin
aur main ki sada dil aa gaya tha baaton mein
aansuon mein aahon mein
jhuT ki kathaon mein
jaan kar sabhi kuchh ki
pahle panch kashti mein chhed kar ke baiThi ho
par tumhaari surat jo
taebon si lagti thi
de gai fareb aaKHir
aur phir jo hona tha ho raha ek din
tum ko chhal hi karna tha
kaise baz rahti tum
sadha wade kar ke bhi
lakh qasmen kha ke bhi
darmiyan samundar ke
mauj mein thapeDon ke
chhed kar ke kashti mein
satwen main ja baiThi
main na kahta tha tum se
par nahin nahin ab to
ab main tum se kahta hun
ishq ek safina hai
bahr-e-be-karan ho ya
pur-KHatar samundar ho
par KHud utarna hai
tum karo ab apni fikr
kashtiyan badalne ki
aaThwin ya nauwin ki
manjhi DhunD lane ki
koi makr karne ki
main ki ek sada-dil
ishq par yaqin awwal ishq par yaqin aaKHir
Nazm
Main na kahta tha tum se
Abu Bakr Abbad