اردو हिंदी
Main kitne barson se roz | Shaahi Shayari
Main kitne barson se roz

Nazm

Main kitne barson se roz

Mubarak Haider

;

main kitne barson se roz apne ana ki ek parat
chhilta hun

lahu lahu in hazar parton ki tah mein patthar hun
jaanta hun

ye kahkashaen ye kaenaten ye raushni ke siyah raste
guzar ke teri talash mein hain

ki ho na ho tum wahan kahin meri muntazir ho
mujhe yaqin hai ki tum meri baat sun rahi ho

magar nahin ho, ki ye jo tum ho, ye tum nahin ho
meri ana ka koi nagar ho

ki jis ke raushan siyah kuchon mein
sar-kaTe ajnabi bhare hain

main ruh ke reshmi libaade haTa ke KHud se milunga lekin
mujhe KHabar hai ki tum wahan bhi nahin milogi

ki tum parastish ki aarzu ka koi bhanwar ho
koi KHudawand-e-lab mile to

ki apni banjar ada ke mandir mein murti ki tarah khaDi ho
hazar sadiyon se rah tak tak ke jam gai ho