main kisi kone mein KHaif sa khaDa hun
aur chhup kar dekhta hun
an-ginat sayon ki bhiD
afraatafri mein har ek su
aur karta hun tasawwur
qaid hain sine mein ek ek sae ke
bas mashini dhaDkanen
zehn hain bimar un ke
qarz hai ehsan hai har sans un ki
khokhli un ki nigahen dekhti hain
par bina binai ke
murda hain ehsas un ke
ek nazuk nanha hath
meri ek ungli pakaD kar
mujh ko wapas khinchta hai
is bhayanak KHwab se
mutmain karti hai
ek masum nannhi muskurahaT
zindagi zinda hai ab bhi
Nazm
Main kisi kone mein
Subodh Lal Saqi