jahan kahin se tum ne apne fasle uTha liye
wahin se meri ibtida hui
saikaDon nahif aur nazar hath
aasman ki taraf uThe
aur ek sath uTh ke mere chaaron samt
kai safon mein tan gae
main tumhaare waste
tumhaare nam se
ek aise bab ke dahane par khaDa hun
jo hazaron samton ko rujua hai
main ki tum pe baz hun
KHudai ki sab KHudai tum pe baz hai
tum meri taraf jhuki raho
jhuki raho
ki is ke baad mere aur tumhaare jism ki
ba-murad shirkaton se ek tandurust shahr ki umid hai
Nazm
Main ki tum pe baz hun
Atiiqullah