main ki ek bani-adam
aalam-e-anasir ka
ek KHamir-e-taza-dam
ek hayat mujh mein hai
kaenat mujh mein hai
meri saltanat hai sab
mujh se hai jahan qaem
main hun gardish-e-paiham
rau mein hai lahu har dam
kya KHabar lahu kya hai
ek shorish-e-hasti
ek daKHli tufan
ek mahshar-e-dauran
kya KHabar lahu kya hai
gardishen sitaron ki
gardish aasmanon ki
gardishen zaminon ki
gardishen zamanon ki
kya KHabar lahu kya hai
ye nizam-e-kul jari
yani harkaten sari
sab lahu ki harakat hai
hai lahu ke dam se hi
amn bhi, mohabbat bhi
jang bhi, adawat bhi
shorish o baghawat bhi
kya KHabar lahu kya hai
gardishen lahu ki jab
mujh mein shor karti hain
be-KHudi ke nashshe mein
jism ka har ek KHaliya
raqs karne lagta hai
aur phir ye hota hai
KHushkiyon ka har zarra
paniyon ka har qatra
ek be-badan jazba
raqs karne lagta hai
is jinnon ke aalam mein
zaKHm jag jate hain
dard chiKH uThta hai
aur phir ye hota hai
ruh-o-dil ki wadi mein
naghme gunj uThte hain
naghma-ha-e-sehr-angez
be-karan fazaon mein
la-makan KHalaon mein
soz aur fughan ban kar
miThi lai mein Dhal Dhal kar
jab bikharne lagte hain
aise sehr-alam mein
ek kaif-o-masti ka
nashsha chhane lagta hai
aur phir ye hota hai
kaenat ki har shai
gungunane lagti hai
aur phir wahi naghme
ruh-o-dil ke chhaalon ko
tar, tar zaKHmon ko
nim-jaan karahon ko
lala-zar daghon ko
jagte phaphulon ko
mast loriyan de kar
KHwab ke gulistan mein
lapata zamane tak
yun hi chhoD dete hain
asl mein wahi naghme
dard ka mudawa hain!!
Nazm
Main ki ek bani-adam
Khalid Mubashshir