hadse zindagi ki alamat hain lekin wo ek hadsa
hum jise maut kahte hain
kab aur kaise kahan ru-numa ho koi jaanta hai
bila-raib koi nahin jaanta
main KHud sochta hun mujhe ek muddat se kya ho gaya hai
mere phaile hue jagte zinda hathon ki sab ungliyan so chuki hain
mere larzan labon par jami papDiyan barq se rakh hote hue abr par ro chuki hain
ilm o irfan ki rah mein jaise meri duaen asar kho chuki hain
main kya jaanta hun
fana ke tasalsul mein koi girah Dalne ke liye
harf-e-kun ki zarurat hai jo mangne par bhi koi na dega
ki ab wo zamanon se bahte hue KHun ka KHun-baha to nahin hai
wo jis ke tasarruf mein sab kuchh hai
husn-e-talab ki mujhe dad de kar agar ye kahe
KHub ho tum magar jaante ho ki tum kaun ho
tum rah-e-raftagan ki masafat ka ek aur aaghaz ho intiha to nahin ho
adam aur maujud ke darmiyan ek kaDi ho KHuda to nahin ho
to main kya kahunga main KHud sochta hun
Nazm
Main KHud sochta hun
Jameel ur Rahman