main KHud se mayus nahin hun
insan se mayus hun thoDa
dharti par aane se pahle
wo aur main sath raha karte the
jannat mein
lekin is ko sadiyan bitin
ab us se mera kya rishta
waise wo bhi mujh jaisa hai
meri tarah khata pita chalta phirta hai
hum donon ham-shakl hain itne
kuchh bhi kare wo
chand pe jae dharti par
jang kare aur KHun bahae
aanch mere daman par aae
hum donon ham-shakl hain lekin
kya main apni man bahnon ko
chaurahe par nanga kar sakta hun
wo karta hai
wo pistanen jin se main ne dudh piya
balwan bana hun
jin par main ne sher kahe
taswiren banain
kya main un ko kaT ke
kutton ko khilwa sakta hun
kahte hain khilwaya us ne
kya main niswani paikar ko
jo mera mauzu-e-suKHan hai
phul se komal
chand se shital
ki botal
jo meri biwi ka badan hai us ko
TukDe TukDe kar sakta hun
us ne kiya hai
kya main apni beTi se munh kala kar ke
apne bhai-bandon ham-jinson ko
buDDhon jawanon masumon ko
zinda jala kar
phansi ke taKHte pe chaDha kar
un ke lahu ka tilak laga kar
munchh pe taw de sakta hun
us ne diya hai
main KHud se mayus nahin hun
insan se mayus hun thoDa
aaj hi sare aKHbaron mein KHabar chhapi hai
is dharti ke ek hisse gujraat mein us ne
mere munh par thuk diya hai
Nazm
Main KHud se mayus nahin hun
Sulaiman Areeb