kahan hain aankhen
main jin mein tira-shabi ka tiryaq
aasman par khile sitaron mein DhunDta tha
main dekhta tha
jo had-e-idrak mein nahin tha
jo dur ho kar bhi mere maruz mein kahin tha
main apni poron se pura chehra TaTol ke KHud se puchhta hun
kahan hain honTon ke surKH kone
kisi ke ruKHsar ki amawas ki raat mein jo
sitara ban ke tulu hote
jo muskuraate, to phul jhaDte
jo harf do harf ek kahani ka haar bante
jo munkashif ho ke raushni ka libas hote
kahan hai kanon ki hairati ka sharab-KHana
jahan pe aawaz
bahte chashmon ki tazgi ka suragh le kar
meri samaat ka rizq banti
main kis se puchhun
wo jis se khilte the
barishon mein mahakti miTTi ki KHush-buon ke
tamam mafhum ab, kahan hai
main kab se be-KHal-o-KHat paDa hun
mera koi saya hi nahin hai
sab aaine jhuT bolte hain
kisi ke chehre ko mera chehra dikha rahe hain
Nazm
Main kab se be-Khaal-o-KHat paDa hun
Qasim Yaqub