main kaenat mein sayyaron mein bhaTakta tha
dhuen mein dhul mein uljhi hui kiran ki tarah
main is zamin pe bhaTakta raha hun sadiyon tak
gira hai waqt se kaT kar jo lamha us ki tarah
watan mila to gali ke liye bhaTakta raha
gali mein ghar ka nishan DhunDta raha barson
tumhaari ruh mein ab jism mein bhaTakta hun
labon se chum lo aankhon se tham lo mujh ko
tumhaari kokh se janmun to phir panah mile!
Nazm
Main kaenat mein
Gulzar