main jina chahta hun
magar kiDe-makoDon aur be-maya maKHluqat ki tarah
reng reng kar nahin!
main jina chahta hun
magar apne baatin mein
kulbulate shar par
zahiri aKHlaq ki rida
Dal kar nahin
main jina chahta hun
magar aise nahin
ki mere wajud ke andar
bughz hawas aur riya-kari ki barudi surangen
bichhi hon
aur har lahza har pal
ye KHauf
ki kab koi
remote control se
ana aur ghairat ehsas aur jazbe
ki KHub-surat imaraton ko
Dha de
main jina chahta hun
apne pure wajud ki sari ikaiyon ke sath
aur mujhe ye ehsas na satae
ki ye zindagi
kisi ki bhik mein di hui sanson ka hissa hai
main jina chahta hun
ek aisi duniya mein
jahan mulk-giri ke junun
itne shadid na hon ki
itemi tawanai se mumayyaz aalat faza ko masmum kar den
insan us ki hazaron barson ki purani qadren
aisi pamal ho jaen jaise haqir zarre
magar main jaanta hun
ye sab mumkin nahin
to main marna chahunga
par aisi maut nahin
ki meri lash ko
qabristan tak pahunchane mein
takalluf majburi aur zabardasti ka shaiba ho
ya dua mein hilte hue lab
aur uThae hue hath
majburan o rasman hon
han aisi maut jo kisi ki aankhon mein
Thahre hue chand qatre
KHamoshi se mere kafan mein
jazb ho jaen
aur bas!!
Nazm
Main jina chahta hun magar
Yusuf Taqi