meri palkon pe tabinda
teri aankhon ke aansu
mujhe tarik raaton mein
nae raste sujhate hain
wajudi wahimon ki sar-zaminon par
main jab KHud se bichhaDti hun
chamakti ret ke zarron ki surat
jab bikharti hun
mujhe wo apne nam se joD dete hain
mujhe KHud se milate hain
main jab din ki bahut lambi masafat mein
udasi ki thakan se chur hoti hun
akele-pan ki wahshat mein
bahut majbur hoti hun
to gahri hanpti shamon ki dahlizon se
wo akasr mujhe dhire se
man! kah kar bulate hain
teri aankhon ke aansu
mujhe kaise anokhe silsilon se
ja milate hain!!
Nazm
Main jab KHud se bichhaDti hun
Bushra Ejaz