jaante ho main hun kya main hun waishya
pata hai main ne hai kya kya kiya
main nachti hun koThon par KHush hoti hun bus noTon par
har raat har raat main apna jism bechti hun
itna dard main bus paison ke liye to sahti hun
main logon ki raaten rangin karti hun
har raat ye apradh sangin karti hun
mera nam aam mein lene nahin
note ke alawa meri zindagi ka koi nayak nahin
zindagi mein mera na hai asitiw na koi iman
samaj ke liye to main hun hi nahin insan
agar hai to bas hai ek pahchan
hun ek koThe wali karti hun apna hi jism nilam
har raat meri ek nae gerahak ke sath hoti hai
har raat meri aatma apni pahchan khoti hai
meri man ka bhi to yahi kaam tha nahin jaanti mere pita ka kya nam tha
jaan kar bhi kya kar leti wo bhi ek waishya thi
kaam un ka logon ko sukh dena tha chinta nahin
wirasat mein un se bas yahi ek kaam mila
jis ke karan hi shayad mujhe jiwan mein kuchh na mila
nahin nahin galti un ki nahin unhonne to paDhana chaha tha
par kya karen malkin ko ye bilkul nagawar tha
na jae diya mujhe is narak se bahar na banne di koi pahchan
un ke dabaw mein hi to mujhe khona paDa mera iman
ab logon ko bhi kya dosh dun jo mujh par thuk kar jate hain
nahin jaante wo mera sach bas kuchh bhi kah jate hain
dukh to KHub hota hai par ab aadat si ho gai hai
sochti hun kabhi kya meri ye aadat waqai sahi hai
kya mujhe jine ka koi mauka milega
kya mere jiwan mein bhi pyar ka phul khilega
ham-safar nahin bas ek hamdard hi chahiye
pahchan nahin thoDa sa bas pyar hi chahiye
iman nahin thoDi si bas izzat hi chahiye
arman hai bas ek koi waishya nahin nahin waishnawi kar bulae
paise dekh kar nahin pyar de kar gale se lagae
kisi ke ghar TuTne ka nahin juDne ka karan banna chahti hun
bas ek bar kisi ke dikh ka niwaran banna chahti hun
kisi ki biwi na sahi bahan banna chahti hun
har bar ki tarah waishya nahin ek insan banna chahti hun
jaanti hun aise sapne mere liye nahin hain
par kya karun sapne mere bas mein nahin hain
is liye har bar ye sapna aankh se bund ke sath baha deti hun
phir kamre mein ja kar kisi gerahak ko wo sukh deti hun
bas yahi mere jiwan ka sar hai
ek hi mera kaam aur ye kaam hi mera sansar hai
Nazm
Main hun kya waishya
Ankita Garg