jab main KHwabon ki sath se girta hun
wo hanste hain
aur aasman ki bijli un ke danton mein phans jati hai
jab tis dinon ki siDhi se har mah main niche girta hun
wo hanste hain
aur un ke hath mein mere badan ki miTTi hai
jab kachchi siyahi aur qainchi se likhe hue aKHbar se niche girta hun
wo hanste hain
aur un ke hath mein mere nam ki kalghi hai
jab hawa aur dhup ke hath se chhuT ke girta hun
wo hanste hain
aur un ke hath mein mere dil ki pattiyan hain
jab mahbuba ke dhyan se niche girta hun
wo hanste hain
aur un ke hath mein meri aankh ka pani hai
jab main kitab ke sach aur din ke jhuT se niche girta hun
wo hanste hain
aur un ke hath mein meri umr ke safhe hain
main girta hun
aur un ko ye malum nahin
main bilkul aise girta hun ki
jaise pake hue phal mein se bij ka dana girta hai
main apni zamin pe bilkul aise girta hun
Nazm
Main girta hun
Asghar Nadeem Sayed