mera dukh kuon ki taraiyon mein utar gaya hai
main use khinch kar nikal lunga
meri aankhon mein ek aabshaar ki dhund phail gai hai
main use ek aansu mein jama kar lunga
hum ne ek hi ghunT se pyas bujhai
jo tum ne halq ke andar se chakha
aur mere honTon ne
tumhaare halq ke bahar se
tum hamari taraf ruKH kar ke kitab dekhte
aur taKHta-e-siyah ki taraf ruKH kar ke
likhte
main bhi ek hisabi uljhan suljha raha tha
tumhaare zanu
tumhaare kulhon se ziyaada farba kyun hain
tumhein mili hui nematon ke tashakkur mein
jhuki rahne wali brasier
mere istiqbaal ke liye khaDi ho gai thi
mujhe tumhaare kulhon ki masumiyat mar Dalegi
gardan se niche
tumhaari riDh ki haDDi par sanp lipTa hua tha
kahan chala gaya
tumhaari aankhon mein mere liye
ek KHair-maqadmi rasta bichha tha
jis par main is justuju mein chalta jata
tumhaari aankhen asl mein kahan waqe hain
tumhaari pusht par lipTa sanp
mere sine par reng raha hai
kash main use
apni Tangon ke darmiyan ghonT sakta
danton ne mere honT barbaad kar diye
main tumhaare ruKHsaron par
in ka tuKHm bauna chahta tha
zindagi main ne bhik mein wasul ki
ab wo mere gullak mein gal rahi hai
aaj main use toD dunga
mera dukh kuon ki taraiyon mein utar gaya hai
aaj main use ek aansu mein ikaTTha kar dunga
tum use
apni zaban ki nok par utar kar thuk dena
zamin par
ya mere munh par

Nazm
Main ek aansu ikaTTha kar raha hun
Syed Kashif Raza