nam be-shak aam aadmi ho
par main to masiha hun
kandhe par apne karmon ki salib
dur se tamashai mere habib
mere rishte mere farz
mera bite waqt ki parchhaiyan
sab mujh par koDe barsate
le ja rahen hain ajnabi se maqam par
lanten barsate mere nam par
mujhe roz dhakkiyate
aur is par majburi ki
mujhe KHamosh rahna hai
sab chup-chap sahna hai
koi na mane ki main kya hun
par main bhi masiha hun
Nazm
Main bhi masiha hun
Madhav Awana