main jita hun aainon mein
aaine gham-KHane hain
mera aks bana lete hain apni apni marzi se
main jita hun kuchh sinon mein
sine aaina-KHane hain
mera naqsh bana lete hain apni apni marzi se
main jita hun miTTi par
miTTi jis se ghar bante hain
jis se qabren banti hain
jis ka zarra zarra auron ka hai
un ka jin mein main hun
jo mujh mein hain
aks kaha karte hain dekho tum aise ho
naqsh kaha karte hain aise ban sakte ho
zarre kahte hain tum aise ban jaoge
tum batla sakte ho aaKHir main kya hun
tum kya batlaoge
tum KHud aaina-KHana ho
gham-KHana ho
ghar ho
qabr ho
tum KHud main ho
Nazm
Main!
Aziz Qaisi