main wo jhuTa hun
ki apni shaeri mein aansuon ka zikr karta hun
magar rota nahin
aasman TuTe
zamin kanpe
KHudai mar miTe
mujh ko dukh hota hai
main wo patthar hun ki jis mein koi chingari nahin
wo payambar hun ki jis ke dil mein bedari nahin
tum mujhe itni haqarat se na dekho
ain-mumkin hai ki tum mera hayula dekh kar
ghaur se pahchan kar
apni aankhen phoD lo
aur main KHali nigahon se tumhein takta rahun
aagahi mujh ko piyari thi
magar is ka maal
zindagi bhar ka wabaal
ab liye phirta hun apne zehn mein sadiyon ka bojh
kuchh izafa is mein tum kar do
ki shayad koi talKHi aisi baqi rah gai ho
jis ko main ne aaj tak chakkha nahin
Nazm
Main aur tu
Shahzad Ahmad