KHuda-wand mujh mein kahan hausla hai
ki main tujh se nazren milaun
teri shan mein kuchh kahun
tujhe apni nazron se niche giraun
KHuda-wand mujh mein kahan hausla hai
ki tu
roz-e-awwal se pahle bhi maujud tha
aaj bhi hai
hamesha rahega
aur main
meri hasti hi kya hai
aaj hun
kal nahin hun
KHuda-wand mujh mein kahan hausla hai
magar aaj ek baat kahni hai tujh se
ki main aaj hun
kal nahin hun
ye sach hai magar
koi aisa nahin hai
ki jo mere hone se inkar kar de
kisi mein ye jurat nahin hai
magar tu
bahut log kahte hain tujh ko
ki tu wahm hai
aur kuchh bhi nahin hai
Nazm
Main aur tu
Mohammad Alvi