roz jab dhup pahaDon se utarne lagti
koi ghaTta hua baDhta hua bekal saya
ek diwar se kahta ki mere sath chalo
aur zanjir-e-rifaqat se gurezan diwar
apne pindar ke nashshe mein sada istada
KHwahish-e-hamdam-e-derina pe hans deti thi
kaun diwar kisi sae ke ham-rah chali
kaun diwar hamesha magar istada rahi
waqt diwar ka sathi hai na sae ka rafiq
aur ab sang-o-gil-o-KHisht ke malbe ke tale
usi diwar ka pindar hai reza reza
dhup nikli hai magar jaane kahan hai saya
Nazm
Main aur tu
Ahmad Faraz