hum samundar se milne zara der se pahunche
raat samundar se ziyaada gahri ho rahi thi
hum nange panw sahil ke sath
bahut dur tak chale
dinon ke baad sarshaari ne apna chehra dikhaya tha
aur hamari bhuli hui dhun gungunai thi
samundar hamari KHamoshi mein Dubne hi wala tha
jab hamara git patwar hua
ajnabi qadmon ke nishan chunte hue
KHayal aaya
chahal-qadmi karte hue wo do sae kya hue
ye lahren jin ke panw chura lai hain
tabhi hum ne apne juton mein jhank kar dekha
sahil abhi puri tarah nahin phisla tha
hum ne socha
samundar ko ab so jaana chahiye
raat ki KHunki hamari ragon mein utar chuki thi
jab hum wapsi ke liye muDe
samundar baDi garm-joshi ke sath hamein ruKHsat karne aaya
ghunuda chand raushan hua
aur hamein ghar tak chhoDne ki zid ki
hum ne dabe-panw unghte darwaze par dastak di
jahan udasi der se hamara intizar kar rahi thi!
Nazm
Main aur meri tanhai
Anjum Saleemi