اردو हिंदी
Main aur mera KHuda | Shaahi Shayari
main aur mera KHuda

Nazm

Main aur mera KHuda

Muneer Niyazi

;

lakhon shaklon ke mele mein tanha rahna mera kaam
bhes badal kar dekhte rahna tez hawaon ka kohram

ek taraf aawaz ka suraj ek taraf ek gungi sham
ek taraf jismon ki KHushbu ek taraf us ka anjam

ban gaya qatil mere liye to apni hi nazron ka dam
sab se baDa hai nam KHuda ka us ke baad hai mera nam