main hun main
wo jis ki aankhon mein jite jagte dard hain
dard ki jin ki ham-rahi mein dil raushan hai
dil jis se main ne ek din ek ahd kiya tha
ahd ki donon ek hi aag mein jalte rahenge
aag ki jis mein jal kar jism hua KHakistar
jism ki jis ke kachche zaKHm bahut dukhte the
zaKHm ki jin ka marham waqt ke pas nahin hai
waqt ki jis ki zad mein sare sayyare hain
sayyare jo qaem hain apni hi kashish par
aur kashish ke tane-bane TuT chale hain
kaun tamashai hai? main hun aur tamasha
main hun main!
Nazm
Main aur main!
Saqi Faruqi

