ek paDosi ke ghar mein aag lagi
aur dhuan bhar gaya mere ghar mein
ek ham-sae ne jo ki fariyaad
gunj uTha dard qalb-e-muztar mein
mere dil ke paDos mein jaise
ab karoDon dilon ka maskan hai
main akela hun ya karoDon hun
ye jahan mere ghar ka aangan hai
muskuraata hai kaenat ka gham
meri aankhon mein Dal kar aankhen
dekhti hain karoDon aankhon mein
ek shab-e-tar ki sahar aankhen
mere dil ki wasia duniya mein
dard apna bhi hai paraya bhi
main ko jab ham bana liya main ne
KHud ko khoya bhi KHud ko paya bhi
Nazm
Main aur hum
Parvez Shahidi